Fraud Alert & Warning for AIOU Students

hamara yeh aik ghair sarkari blog hai jis ka taluq allama Iqbal open university se nahi hai. iss social blog par aam log, stdents, walidain aur hum –apne ilm aur tajurbah o raye waghera kologon ke liye baghair kisi faiday, naffa, lalach aur pesey ya raqam ke bilkul muft mein zaati maloomat ki roshni mein faraham ki jati hai. maloomat haasil karne ke liye university ki Website, kutub, akhbarat ke zaraye waghera se istifada haasil kya jata hai aur koshish ki jati hai ke tamam maloomat dorust hon. mazeed yeh ke jahan par zurori ho wahan istemaal kiye gaye zaraye ke hawala jaat bhi darj kardiye jatay hain. magar yeh davah hargiz nahi kiya ja sakta ke yeh maloomat sarkari satah par durust, tasdeeq shuda aur taaza tareen hain. lehaza talba se gzarsh hai ke kisi bhi qisam ki maloomat ke liye university ki official Website, sarkari numbers aur main university camps, regional offices, area offices ko visit karen jin ki tamam tar tafseelaat praspecktis mein darj hoti hai.

Solved Assignments

Is silsilay mein allama Iqbal open yoni vrsti aur haier education commission pakistan tamam akhbaaron mein pehlay hi aagahi o intibah ke mandarja zail mtad ishtiharaat shaya karwa chuke hain. Jaisa ke aap ko maloom hai ke mukhtalif nosarbaz dhoka dahi se saada looh taalib ilmoon ko gumraah karkay raqum batoortay hain yahan taq ke talba o talibat ke zaati mobile numbers o ghrke pata ko istemaal karte hue tang karna shuru kar dete hain. lehaza aap se gzarsh hai ke har qisam ke fraud se mukammal daur rahen aur khud bhi bachchen aur doosron ko bhi aagah karen. hamari yeh koshish hai ke hum apni zimma daari ada karte hue allama Iqbal univrsti ke naam se jo fraud ho rahay hain unn ko be naqaab karen aur university ki shohrat ko kharab karne ke tamam hrbon ko nakaam bananay mein apni adna o har mumkin koshish karte rahen ge.


yaad rkhiye! naqal se ya pesey dy kar likhvayi gayi assignments ya hal shuda assignment ki khareedo wa farokht jurm hai aur yeh harkat aap ko final degree se mahroom kar sakti hai. chori ya udhaar li gayi assignments bhi na qabil qubool hoti hain aur ye harkat Allama Iqbal Open youivrste Islamabad ke qanoon' mawaad ki chori' ke tehat qabil e saza hai .

Talba o talbat se gzarsh hai ke is terhan ke tamam jalsazon aur jaali idaron se hooshiyar rahen aur un fraud aur dhoka aur drama bazoo se bachney ke liye apni apni tajaweez zaroor den taakay ghareeb o saada taalib ilm inn se istifada haasil kar saken.

You can share your suggestion in below comments box. 

No comments:

Post a Comment